kaun si shakh ka patta tha hara bhul gaya ped se tut ke main apna pata bhul gaya main koi wada-faramosh nahin hun phir bhi mujh pe ilzam hai main apna kaha bhul gaya apne bachchon ke khilaune to use yaad rahe ghar mein bimar padi man ki dawa bhul gaya kar to din main ne charaghon ki qataren raushan hai zamane ki magar tez hawa bhul gaya khauf-e-dozakh se daraata raha waiz mujh ko aur khud apne gunahon ki saza bhul gaya tujh se kuchh kaam tha lekin tere ghar ke aage ab khada soch raha hun ki main kya bhul gaya be-khudi had se jo guzri to main ek roz 'nafas' ghar se kya nikla ki phir ghar pata ka bhul gaya