kaun usko chahta meri tarah
By nomaan-shauqueFebruary 28, 2024
kaun us ko chahta meri tarah
wo bhi tanha ho gaya meri tarah
kah diya kis ne khuda milta nahin
dhundhiye us ka pata meri tarah
tutna hi tha ta'alluq ek din
hu-ba-hu wo shakhs tha meri tarah
us taraf jaane lage sab raste
shahr diwana hua meri tarah
muft mein kyon kijiye ninden kharab
han agar wo jagta meri tarah
mil gaya sara takabbur khak mein
mit gaya mera likha meri tarah
wo bhi tanha ho gaya meri tarah
kah diya kis ne khuda milta nahin
dhundhiye us ka pata meri tarah
tutna hi tha ta'alluq ek din
hu-ba-hu wo shakhs tha meri tarah
us taraf jaane lage sab raste
shahr diwana hua meri tarah
muft mein kyon kijiye ninden kharab
han agar wo jagta meri tarah
mil gaya sara takabbur khak mein
mit gaya mera likha meri tarah
81320 viewsghazal • English