khali duniya mein guzar kya karte bin tere umr basar kya karte tu ne manzil hi badal di apni hum tere sath safar kiya karte ek hi khwab-e-junun kafi tha dekh kar bar digar kiya karte apni hi uljhanon mein uljhe the hum teri zulf ko sar kya karte hum jo diwangi mein kar guzre aql wale wo hunar kya karte jo kiya tu ne khuda jaanta hai hum tere sath magar kya karte jabki raste mein bikharna hi tha bandh kar rakht-e-safar kya karte jism ka bojh liye laute the shahr walon ko khabar kya karte jo kiya tu ne khuda jaanta hai hum tere sath magar kya karte khud zamin odh li ki hum aage aur be-samt safar kya karte