khar dushman jo bichhae to koi baat nahin rah-e-pur-khar bhi aae to koi baat nahin ho saka jitna tujhe dil mein sanbhaale rakkha aaj daman tu bachae to koi baat nahin tujh se ummid-e-wafa hum ne sanam rakkhi hai tu sitam aur bhi dhae to koi baat nahin tu ne bakhshi thin meri zist ko khushiyan phir bhi ab agar mujh ko rulae to koi baat nahin dard to yun bhi gham-e-dil ko maza deta hai tu agar dard badhae to koi baat nahin mahfil-e-yar mein mujh ko na mili koi khushi ab agar zulm bhi dhae to koi baat nahin jis ki har baat pe tha mujh ko bharosa 'atish' wo mujhe chhod ke jae to koi baat nahin