khabar-e-tahayyur-e-ishq sun na junun raha na pari rahi na to tu raha na to main raha jo rahi so be-khabari rahi shah-e-be-khudi ne ata kiya mujhe ab libas-e-barahnagi na khirad ki bakhiya-gari rahi na junun ki parda-dari rahi chali samt-e-ghaib sin kya hawa ki chaman zuhur ka jal gaya magar ek shakh-e-nihaal-e-gham jise dil kaho so hari rahi nazar-e-taghaful-e-yar ka gila kis zaban sin bayan karun ki sharab-e-sad-qadah aarzu khum-e-dil mein thi so bhari rahi wo ajab ghadi thi main jis ghadi liya dars nuskha-e-ishq ka ki kitab aql ki taq par jun dhari thi tyun hi dhari rahi tere josh-e-hairat-e-husn ka asar is qadar sin yahan hua ki na aaine mein rahi jila na pari kun jalwagari rahi kiya khak aatish-e-ishq ne dil-e-be-nawa-e-'siraj' kun na khatar raha na hazar raha magar ek be-khatari rahi