KHabar hai ki aaya gulabon ka mausam

By saima-bukhariNovember 15, 2020
khabar hai ki aaya gulabon ka mausam
gulon ke badan par hai kanton ka mausam
khuda jaane is rut mein kya gul khilae
gulistan ka joban ye kaliyon ka mausam


labon ki shararat nazar se ishaarat
dam-e-wasl kaisa hayaon ka mausam
ye daur-e-mohabbat bhi kaisa ajab hai
hun aankhon mein baaten ishaaron ka mausam


hawae judai ye kaisi chali phir
ghamon ki faza mein azabon ka mausam
jo pyase hain 'bano' tum un ko sada do
ki sahra mein utra hai chashmon ka mausam


17483 viewsghazalEnglish