khada tha kaun kahan kuchh pata chala hi nahin main raste mein kisi mod par ruka hi nahin hawaen tez thin itni ki ek dil ke siwa koi charagh sar-e-rahguzar jala hi nahin kahan se khanjar-o-shamshir aazmata main mere adu se mera samna hua hi nahin dukhon ki aag mein har shakhs jal ke rakh hua kisi gharib ke dil se dhuan utha hi nahin hamara shahr-e-tamanna bahut hasin tha magar ujad ke rah gaya aisa ki phir basa hi nahin wo ban gaya mera naqid pata nahin kyun kar mera kalam to us ne kabhi padha hi nahin main apne daur ki aawaz tha magar 'khawar' kisi ne bazm-e-jahan mein mujhe suna hi nahin