khaDe hain samne ahbab ajgaron ki tarah
By balraj-hairatJanuary 2, 2024
khade hain samne ahbab ajgaron ki tarah
bula raha hai bayaban khule daron ki tarah
subuk-khiram tanazur muqaddaron ki tarah
faraaz-e-waqt pe kya hai kate saron ki tarah
wo shakhs itna hi pyasa bhi hoga andar se
hilore le to raha hai samundaron ki tarah
khala mein dub na jaun kahin mahak ban kar
mujhe samet lo aankhon mein manzaron ki tarah
shikast-e-khwab ki aawaz-e-bazgasht hun main
mujhe sanbhal ke baratna muhawaron ki tarah
na jaane kaun hai khaliq in aabginon ka
khayal zehn mein aate hain paikaron ki tarah
ab aur hi koi duniya mujhe 'ata farma
bisat-e-dasht bhi mahdud hai gharon ki tarah
aman milegi mujhe bahr-o-bar mein jaane kahan
gira hun tut ke udte hue paron ki tarah
jhinjhod mat mujhe aise mein karb-e-nim-shabi
nawa-e-'mir' bhi chubhti hai nashtaron ki tarah
kamal-e-‘asr hai be-chehragi magar 'hairat'
sukhanwaron se to miliye sukhanwaron ki tarah

89648 viewsghazal • English