khak hun tur samajh aur jila de mujh ko ai khuda apni tajalli ki ziya de mujh ko maula majzub minallah bana de mujh ko ishq-e-sadiq ki yun mearaj kara de mujh ko aisi koi bhi na ai yar dua de mujh ko mar hi jaun koi aisi to saza de mujh ko roz-e-mahshar to abhi dur hai mere allah kar koi moajiza aur khud se mila de mujh ko nahin karna hai mujhe ishq-e-majazi kisi se maula ishq-e-azali karna sikha de mujh ko aaj rote hue main ne to use kah diya hai ki main darwesh sifat hun tu bhula de mujh ko tang aane laga hun zindagi ki uljhanon se apni qudrat se khuda rah-e-fana de mujh ko dard ehsas khushi jaisi koi chiz na ho tu hi tu ho ba-khuda aisi faza de mujh ko tera ehsas jilata hai mera daman-e-yar bhul jaun tujhe taufiq-e-khuda de mujh ko meri manzil ka pata puchhte hain mujh se log kuchh to kar aisa tamasha hi bana de mujh ko