khak karti hai ba-rang-e-charkh-e-nili-fam raqs har do-alam ko tera rakhta hai be-aram raqs dekhiye piri ka haal aur dekhiye rish-e-safed shaikh sahab na-munasib hai ye be-hangam raqs ablaq-e-chashm-e-butan ki shokhiyan chakra gain aasman par mehr-o-mah karte hain subh-o-sham raqs ho haqiqi ya majazi ishq ki haalat na puchh khanqa mein mai hai aur mai-khane mein badnam raqs saumia mein wajh-e-sad-tahsin hua sufi ka haal mai-kade mein aan kar kyun ho gaya badnam raqs nargis-e-makhmur-e-jaanan dal deti gar nigah mardum-e-chashm-e-butan ki tarah karta jam raqs aashiqan abru-e-but ki hai taat iztirab thi namaz ahl-e-haram jab tak na tha islam raqs gird phirta hun jo is bar ke to waiz kya hua tauf mein karta hai tu bhi bandh kar ehram raqs bahr mein gardab hai aur dasht mein hai gard-baad khushk-o-tar mein hai teri shokhi se ai gulfam raqs shokh ne barham nizam-e-mahfil-e-imkan kiya khak ne chheda hai gardun ne liya hai tham raqs paemal-e-gham pise jate hain surme ki tarah le udi kis ke qadam se gardish-e-ayyam raqs teri shokhi se teri raftar se ai rashk-e-bagh chaukdi bhola hiran taus-e-gul-andam raqs aish jawed un ko hasil hai jo hain teri taraf taer-e-qibla-numa karta hai subh-o-sham raqs