khak mein lipti kahani aur hai rang lekin aasmani aur hai kal talak wo bantti khushbu rahi ab hawa ki chhed-khani aur hai dhup ke sahra mein chal kar dekhna aablon ki shadmani aur hai chintiyon se phir mera wada hua ek koshish aazmani aur hai raat ke ghar mein bada kohram tha subh ki ab be-zabani aur hai titliyon ko thi saba ki justuju gulistan mein hukmarani aur hai konplen izn-e-safar ki muntazir zard patton mein kahani aur hai mehrban phulon pe lagti thi hawa bahte pani ki rawani aur hai han nadamat tujh ko honi chahiye haif 'jafar' pani pani aur hai