KHak sahraon mein uDane ka
By farooq-noorFebruary 6, 2024
khak sahraon mein udane ka
kya 'ajab shauq hai diwane ka
ek la-muntahai rishta hai
teri zulfon se mere shane ka
pa liya hai kisi tarah jo use
khauf rahne laga ganwane ka
kya bhugatna pada hai khamyaza
is kharabe se dil lagane ka
aankh patthar hui hai raston par
intizar aur tere aane ka
ab bahana talash karta hun
teri surat ko bhul jaane ka
'nur' insan shahkar hua
qudrat-e-haq ke kar-khane ka
kya 'ajab shauq hai diwane ka
ek la-muntahai rishta hai
teri zulfon se mere shane ka
pa liya hai kisi tarah jo use
khauf rahne laga ganwane ka
kya bhugatna pada hai khamyaza
is kharabe se dil lagane ka
aankh patthar hui hai raston par
intizar aur tere aane ka
ab bahana talash karta hun
teri surat ko bhul jaane ka
'nur' insan shahkar hua
qudrat-e-haq ke kar-khane ka
26054 viewsghazal • English