khak-ta-khak wo pahchan na paya hai mujhe us ne har bar hawaon mein udaya hai mujhe chahta hun ki mujhe tod de ab us ka sukut jis ki aawaz ne aaina banaya hai mujhe ab girah mein nahin khone ke liye kuchh baqi zindagi tu ne bhi kis mod pe paya hai mujhe main teri rah ki diwar nahin tha ai dost tu ne kya jaan ke nazron se giraya hai mujhe raushni meri andheron se ulajh sakti thi mera dukh ye hai ki suraj ne bujhaya hai mujhe ab sanbhalne nahin dega kahin tanhai ka bojh chhodne wo meri dahliz tak aaya hai mujhe main koi gauhar-e-nayab nahin hun 'rashid' kya samajh ke koi bazar mein laya hai mujhe