KHak ugati hain suraten kya kya
By nazeer-qaisarNovember 11, 2020
khak ugati hain suraten kya kya
aainon mein hain hairaten kya kya
umr ke be-sabaat safhon par
likh raha hun ibaraten kya kya
khulte jate hain bab-e-harf-o-sada
ho rahi hain ziyaraten kya kya
mud ke dekhun to naqsh-e-pa ki tarah
ham-safar hain riwayaten kya kya
lafz aawaz aur sae mein
dhundhta hun shabahaten kya kya
khwab se paikar-e-maani tak
runuma hain alamaten kya kya
rang lai hai hasrat-e-tamir
gir rahi hain imaraten kya kya
aadmi marsiyon ki surat mein
likh raha hai bashaaraten kya kya
aainon mein hain hairaten kya kya
umr ke be-sabaat safhon par
likh raha hun ibaraten kya kya
khulte jate hain bab-e-harf-o-sada
ho rahi hain ziyaraten kya kya
mud ke dekhun to naqsh-e-pa ki tarah
ham-safar hain riwayaten kya kya
lafz aawaz aur sae mein
dhundhta hun shabahaten kya kya
khwab se paikar-e-maani tak
runuma hain alamaten kya kya
rang lai hai hasrat-e-tamir
gir rahi hain imaraten kya kya
aadmi marsiyon ki surat mein
likh raha hai bashaaraten kya kya
64807 viewsghazal • English