KHala mein uD rahi hai gard ghar se
By mast-hafiz-rahmaniFebruary 27, 2024
khala mein ud rahi hai gard ghar se
abhi lauta hun main wapas safar se
karen kya baat hum us chaaragar se
jo waqif hi nahin hai dard-e-sar se
nazar aaenge hum bhi 'mir' sahib
koi dekhe to 'ghaalib' ki nazar se
mera aiwan hai gosha-nashini
hui muddat nahin nikla hun ghar se
use bhi pi gain suraj ki kirnen
zara sa saya manga tha sahar se
falak pairon ko bosa de raha hai
kuchh is andaz se nikla hun ghar se
har ek zarra hai khushbu mein nahaya
koi guzra hai shayad phir idhar se
'ajab ye falsafa hai zindagi ka
charagh-e-dil hua raushan nazar se
kahan se ye kahan 'mast' aa gaya hun
numud-e-sham zahir hai sahar se
abhi lauta hun main wapas safar se
karen kya baat hum us chaaragar se
jo waqif hi nahin hai dard-e-sar se
nazar aaenge hum bhi 'mir' sahib
koi dekhe to 'ghaalib' ki nazar se
mera aiwan hai gosha-nashini
hui muddat nahin nikla hun ghar se
use bhi pi gain suraj ki kirnen
zara sa saya manga tha sahar se
falak pairon ko bosa de raha hai
kuchh is andaz se nikla hun ghar se
har ek zarra hai khushbu mein nahaya
koi guzra hai shayad phir idhar se
'ajab ye falsafa hai zindagi ka
charagh-e-dil hua raushan nazar se
kahan se ye kahan 'mast' aa gaya hun
numud-e-sham zahir hai sahar se
34712 viewsghazal • English