KHalal aaya na haqiqat mein na afsana bana

By farhat-ehsasFebruary 6, 2024
khalal aaya na haqiqat mein na afsana bana
main to lagta hai ki bekar hi diwana bana
mar hi dala tha sahil ke maraz ne mujh ko
ek sailab achanak hi shifa-khana bana


jaise parchhain banai gai har jism ke sath
usi andaz se har shahr ka virana bana
masjid-e-jism jise koi namazi na mila
wahin ek sham meri ruh ka mai-khana bana


'farhat-ehsas' se aati thi sada-e-girya
aakhir-e-kar wo duniya ka 'aza-khana bana
29640 viewsghazalEnglish