KHalish hai KHwab hai aadhi kahani hai

By yasmeen-hameedMay 21, 2021
khalish hai khwab hai aadhi kahani hai
hamari baat to bas aani jaani hai
samundar se tumhein wahshat hai kyon itni
ise chhu kar to dekho sirf pani hai


main kuchh bhi puchh lun kya farq padta hai
tumhein to baat hi koi banani hai
zara batlao tum kis kis se milte ho
tumhaare shahr mein kitni girani hai


tumhein duniya se matlab hai mujhe tum se
to phir ye kis tarah ki ham-zabani hai
hum is pahlu se bhi to soch sakte hain
sitara raat ki pahli nishani hai


zamin ko aate jate mausamon se kya
use to aag mitti se bujhani hai
sabhi hain surkh-ru apni adalat mein
kisi ne kab kisi ki baat mani hai


71432 viewsghazalEnglish