KHamosh lab hain jhuki hain palken dilon mein ulfat nai nai hai

khamosh lab hain jhuki hain palken dilon mein ulfat nai nai hai
abhi takalluf hai guftugu mein abhi mohabbat nai nai hai

abhi na aaegi nind tum ko abhi na hum ko sukun milega
abhi to dhadkega dil ziyaada abhi ye chahat nai nai hai

bahaar ka aaj pahla din hai chalo chaman mein tahal ke aaen
faza mein khushbu nai nai hai gulon mein rangat nai nai hai

jo khandani rais hain wo mizaj rakhte hain narm apna
tumhaara lahja bata raha hai tumhaari daulat nai nai hai

zara sa qudrat ne kya nawaza ki aa ke baithe ho pahli saf mein
abhi se udne lage hawa mein abhi to shohrat nai nai hai

bamon ki barsat ho rahi hai purane jaanbaz so rahe hain
ghulam duniya ko kar raha hai wo jis ki taqat nai nai hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close