KHamoshi bhag nikli hai makan se
By salim-saleemFebruary 28, 2024
khamoshi bhag nikli hai makan se
teri aawaz aai thi kahan se
meri mitti ko aakhir kya hua hai
ulajhti ja rahi hai aasman se
'ajab ek rabt hai is waqa'e ka
kisi bhuli hui si dastan se
kinaron se main badhta ja raha hun
so mujh ko khinch lo tum darmiyan se
teri aawaz aai thi kahan se
meri mitti ko aakhir kya hua hai
ulajhti ja rahi hai aasman se
'ajab ek rabt hai is waqa'e ka
kisi bhuli hui si dastan se
kinaron se main badhta ja raha hun
so mujh ko khinch lo tum darmiyan se
94154 viewsghazal • English