KHamoshi bhi zaban-e-muddaa malum hoti hai

khamoshi bhi zaban-e-muddaa malum hoti hai
mohabbat iltija hi iltija malum hoti hai

main apne khun-e-nahaq ki ab un se dad kya chahun
nazar un ki nadamat-ashna malum hoti hai

mujhe to apni barbaadi ka shikwa hai muqaddar se
ye main ne kab kaha un ki khata malum hoti hai

mujhe barbaad gham ho kar tere dar tak pahunchna hai
ye barbaadi meri khud rahnuma malum hoti hai

jawani aur be-parwa khirami ai maaz-allah
qayamat hai qayamat zer-e-pa malum hoti hai

alag hai sab se andaz-e-junun meri mohabbat ka
meri wahshat zamane se juda malum hoti hai

meri har baat 'azmat' tarjuman-e-ahl-e-alam hai
ye duniya mujh ko meri ham-nawa malum hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close