khamoshi ko jhinjhoda ja raha hai hawa mein tir chhoda ja raha hai teri taswir ke hain rang pyase bahaaron ko nichoda ja raha hai bana kar daere angdaiyon ke hisar-e-khwab toda ja raha hai purani dastanon ka talluq nae qisson se joda ja raha hai yunhi arzan nahin hain ye kitaben hamara zehn moda ja raha hai