KHamoshi mein guzara kar raha hun
By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
khamoshi mein guzara kar raha hun
isi se shor paida kar raha hun
naya rishta bane is 'umr mein kya
purane ko purana kar raha hun
mere rone pe mujh ko tokiye mat
kamai hai to kharcha kar raha hun
mohabbat ne diye jo zakhm mujh ko
unhen nafrat se achchha kar raha hun
ye duniya kya meri nazron mein aae
bade khwabon ka pichha kar raha hun
sanbhalta hun to ye lagta hai mujh ko
tumhaare sath dhoka kar raha hun
tabibon mein ghira rahta hun 'shaariq'
maraz ko jaan-lewa kar raha hun
isi se shor paida kar raha hun
naya rishta bane is 'umr mein kya
purane ko purana kar raha hun
mere rone pe mujh ko tokiye mat
kamai hai to kharcha kar raha hun
mohabbat ne diye jo zakhm mujh ko
unhen nafrat se achchha kar raha hun
ye duniya kya meri nazron mein aae
bade khwabon ka pichha kar raha hun
sanbhalta hun to ye lagta hai mujh ko
tumhaare sath dhoka kar raha hun
tabibon mein ghira rahta hun 'shaariq'
maraz ko jaan-lewa kar raha hun
41412 viewsghazal • English