khamushi iltifat hai shayad ek mohmal si baat hai shayad dard-e-dil hi baraat hai shayad husn ki ye zakat hai shayad zindagi do adam ki barzakh hai is liye be-sabaat hai shayad zindagi maut se ibarat hai maut sharh-e-hayat hai shayad kitne virane ho gae aabaad aap ka iltifat hai shayad kuchh nahin sochta jawani mein ye bhi tarik raat hai shayad kahte kahte jo ho gae khamosh raaz ki koi baat hai shayad is yaqin par kalim hain behosh jalwa-e-husn-e-zat hai shayad dil ki taskin ruh ki rahat aah wajh-e-hayat hai shayad aankh ke til ke ek zarre mein simti kul kaenat hai shayad tishna-kaami-e-karbala hai ishq husn aab-e-furaat hai shayad 'shoala' is dil mein tis uthti hai aap ka iltifat hai shayad