khandan-e-qais ka main to sada se pir hun silsila-jumban-e-shor-e-khana-e-zanjir hun khaksari ke abhi to darpai tadbir hun kushta ho kar khak jab hon tab kabhi iksir hun zoaf ne go kar diya hai jun kaman gosha-nashin ab bhi chalne ko jo puchho to sarasar tir hun rishta-e-ulfat ne bandhe hain par-e-parwaz aah dam-e-hairat mein ba-rang-e-bulbul-e-taswir hun tujh se ye uqda khulega ai nasim-e-subh-dam ghunche ki manind is gulshan mein kyun dil-gir hun muntazir chashm-e-rikab ai said-e-afgan hai hanuz bosa-e-fitrak ki khwahish hai wo nakhchir hun faqr ki daulat ke aage saltanat kya mal hai bistare par apne ai ruba-mizajo sher hun sach hai apne dam se qaem hai ye buniyaad-e-jahan raunaq-afza-e-chaman aaraish-e-tamir hun jaisi chahe waisi le mujh se qasam qatil na dar hashr ko bhi gar kabhi tera main daman-gir hun ahl-e-jauhar hi mere mazmun ko samjhe hai 'nasir' main bhi iqlim-e-sukhan mein sahib-e-shamshir hun