khanjar-e-shab jo utar jaenge aankhon mein meri manzar-e-rafta thahar jaenge aankhon mein meri zulm sahne ke liye rakhta hun patthar ka jigar ashk-e-gham yunhi na bhar jaenge aankhon mein meri hoga bazu se numayan meri jurat ka kamal hadse jab bhi thahar jaenge aankhon mein meri jab bhi aaega mujhe ahd-e-guzishta ka khayal kitne tufan se biphar jaenge aankhon mein meri kis tarah khud mein utarenge sahar ka nashsha zakhm-e-shab ninden jo dhar jaenge aankhon mein meri