KHaraba-e-baam-o-dar bahut yaad aa raha hai
By jamal-ehsaniFebruary 26, 2024
kharaba-e-baam-o-dar bahut yaad aa raha hai
na jaane kyon aaj ghar bahut yaad aa raha hai
bhula chuka hun jo rasta tai kiya tha main ne
kiya nahin jo safar bahut yaad aa raha hai
wo sath rahta tha ghar mein to dhyan tak na aaya
magar sar-e-rahguzar bahut yaad aa raha hai
udas baithe hain ghar ki diwar par parinde
jo sahn mein tha shajar bahut yaad aa raha hai
ladai mein sare war khali gae the jis ke
'jamal' wo be-hunar bahut yaad aa raha hai

25098 viewsghazal • English