khas-e-badan mein ba-rang-e-sharar aae koi chamak uthun main gham-e-ab-dar aae koi meri nazar mein chamakte hain garm-o-sard jahan main jaanch lunga zar-e-kam-ayar aae koi hai zakhm zakhm badan sang-e-harf-e-talkh se aaj kahin se narmi-e-lab ki phuwar aae koi main jal gaya dil-e-viran ki khushk wadi mein faraaz-e-dard se phir aabshaar aae koi ye dasht-e-tishna-labi chhod kar main kyun jaun mere liye to yahin ju-e-bar aae koi hai zoam-e-shoala to dekhe hawa-e-dard ka zor charagh hai to sar-e-rahguzar aae koi ek aur bhi hai jahan is jahan-e-jabr se dur majal hai to wahan shahryar aae koi ghanim-e-shab ko main zakhmon se chur kar aaya sahar ka aakhiri neza bhi mar aae koi thahar gae hain kahan mere ham-safar 'shahin' khada hun der se jangal ke par aae koi