khat badha kakul badhe zulfen badhin gesu badhe husn ki sarkar mein jitne badhe hindu badhe baad ranjish ke gale milte hue rukta hai ji ab munasib hai yahi kuchh main badhun kuchh tu badhe badhte badhte badh gai wahshat wagarna pahle to hath ke nakhun badhe sar ke hamare mu badhe tujh ko dushman wan shararat se jo bhadkate hai roz chahte hain aur shar ai shokh-e-atish-e-khu badhe kuchh tap-e-gham ko ghata kya faeda is se tabib roz nuskhe mein agar khurfa ghate kahu badhe peshwai ko gham-e-jaanan ki chashm-e-dil se 'zauq' jab badhe nale to us se beshtar aansu badhe