KHata betabiyon ki qalb par bedad karte hain

By muneer-bhopaliApril 5, 2022
khata betabiyon ki qalb par bedad karte hain
kise barbaad karna tha kise barbaad karte hain
yahan din-raat jin ki yaad mein fariyaad karte hain
chaman wale bhi ai sayyaad hum ko yaad karte hain


ilaha shan-e-khuddari ye istighnaiyan kab tak
tere bande buton ke samne fariyaad karte hain
tujhe dil muft dete hain hamara ye kaleja hai
ki apna ghar luta kar tera ghar aabaad karte hain


ada-e-be-niyazi chha rahi hai sare aalam par
haram ke rahne wale but-kade aabaad karte hain
sarapa paikar-e-masti mujassam shan-e-ranai
kisi ko dekhte hain aur khuda ko yaad karte hain


chaman bhi aae lene ko qafas se hum na jaenge
riha ye kaun hota hai kise aazad karte hain
mohabbat hai unhin ajza-e-majburi ka majmua
bhulate hain jinhen dil se unhin ko yaad karte hain


na wo bu-e-wafa gul mein na wo nazren hain ghunchon ki
chaman ko chhod kar ab bai'at-e-sayyaad karte hain
inhin zarraat-e-betabi se dil ki zindagani hai
yahi zarraat-e-betabi hamein barbaad karte hain


fareb-e-arzu ka nam wasl-e-yar rakha hai
wufur-e-gham mein dhoke de ke dil ko shad karte hain
wahi bazu wahi taqat wahi parwaz hai ab bhi
qafas ki tiliyan kya khatir-e-sayyaad karte hain


sukut-e-dil nahin khamoshi-e-lab ai 'munir' ek din
dikha denge ye ahl-e-zabt yun fariyaad karte hain
46202 viewsghazalEnglish