khata qubul nahin hai to khud khata kar dekh ya ek bar barabar mein mere aa kar dekh ye mera sabr hai ye mujh pise hue ka sabr khuda-e-qahr tu aa qahr aazma kar dekh ghurur war diya main ne fi-sabilil-ishq ai ishq tu bhi to ab thoda hausla kar dekh main dil ka achchha hun lekin zara sa hun gustakh tu ek bar mujhe sine se laga kar dekh tu aazma to chuka hai ye sare makr-o-fareb bas ab azan-e-mohabbat zaban pe la kar dekh wo kuchh batane se shayad jhijakti hogi 'waqar' tu ek bar use nam se bula kar dekh