khatm chhutti madrase ka dar khula aql-o-danish ilm-o-fan ka ghar khula phir wahi school ki sar-garmiyan phir wahi talim ka daftar khula meri talimi liyaqat ka bharam imtihan ke baad hi aksar khula master sahab ke ghusse ka sabab be-khata masum bachchon par khula meri aankhen nind se bojhal huin jab nazar aaya koi bistar khula chand taron ko hansi aane lagi mera basta jab khuli chhat par khula ji mein aata hai lagaun ek chapat dekhta hun jab kisi ka sar khula 'kaif' meri nak mein dam aa gaya jab kabhi mujh se koi teacher khula