KHatm hai baadal ki jab se saebani dhup mein

By chandni-pandeyOctober 29, 2020
khatm hai baadal ki jab se saebani dhup mein
aag hoti ja rahi hai zindagani dhup mein
chand ki aaghosh mein hone se jis ka hai wajud
khil sakegi kya bhala wo raat-rani dhup mein


us ki furqat ki tapish mein main jhulas kar rah gai
warna itni tab kab thi aasmani dhup mein
kuchh chamakta sa nazar aane laga hai ret mein
badh rahi hai mere qadmon ki rawani dhup mein


ek saya sath mere ham-safar ban kar mera
likh raha hai phir koi taza kahani dhup mein
63755 viewsghazalEnglish