KHatm KHud par safar kiya humne
By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
khatm khud par safar kiya hum ne
aur tere nam par kiya hum ne
yun to sara jahan apna tha
phir bhi ek apna ghar kiya hum ne
pahle dil mein use muqim kiya
phir use dil ka dar kiya hum ne
dushmani thi hamari gulchin se
war ek phul par kiya hum ne
sochte hain to sharm aati hai
jo tere nam par kiya hum ne
kuchh hi pal mein utar gaya tha surur
raqs kyon raat-bhar kiya hum ne
aur tere nam par kiya hum ne
yun to sara jahan apna tha
phir bhi ek apna ghar kiya hum ne
pahle dil mein use muqim kiya
phir use dil ka dar kiya hum ne
dushmani thi hamari gulchin se
war ek phul par kiya hum ne
sochte hain to sharm aati hai
jo tere nam par kiya hum ne
kuchh hi pal mein utar gaya tha surur
raqs kyon raat-bhar kiya hum ne
96338 viewsghazal • English