KHatm ye fitrat-e-adam nahin hone wali

By mahwar-sirsiviJanuary 3, 2024
khatm ye fitrat-e-adam nahin hone wali
'ishq ki bhuk kabhi kam nahin hone wali
main kisi aur ke sanche mein dhala jata hun
zindagi to meri mahram nahin hone wali


lakh aade bhi agar aaen mukhalif baadal
chand ki raushni maddham nahin hone wali
jaan hazir hai hama-waqt tumhaari khatir
pesh-e-ghairullah jabin kham nahin hone wali


chaaragar tu bhi namak dal mere zakhmon par
chaarasazi mera marham nahin hone wali
us pe tum sura-e-yusuf ko agar dam kar do
phir zulekha kabhi barham nahin hone wali


munsalik ho to gaya hun main teri chaukhat se
naukri sakht hai paiham nahin hone wali
dil wo shishe ki 'imarat hai meri jaan agar
tut jae to munazzam nahin hone wali


zindagi aakhiri ayyam ko aa pahunchi hai
ab shab-e-gham bhi shab-e-gham nahin hone wali
ek hi shai ka talabgar raha hun mehwar
'umr-bhar wo bhi faraham nahin hone wali


84566 viewsghazalEnglish