khauf us ka usi se darta hun main kahan aadmi se darta hun tirgi ab mera muqaddar hai is liye raushni se darta hun maut bar-haq hai aaegi lekin teri chaaragari se darta hun jis ka ehsan bojh ban jae bas usi aadmi se darta hun aakhirat ka nahin khayal zara dil ki is gum-rahi se darta hun jis se aae amal mein kotahi main usi aagahi se darta hun yun mile mujh ko dosti mein fareb aaj tak dosti se darta hun main bhi 'maqsud' daur-e-hazir mein maut ya zindagi se darta hun