khayal ban ke wo mujh mein utar bhi aata hai ki rafta rafta dua mein asar bhi aata hai jise talash hai khush-rang aabshaaron ki wo zakhm zakhm badan le ke ghar bhi aata hai charagh ban ke chamakta hun sang-rezo mein sawad-e-shab mujhe aisa hunar bhi aata hai na jism-o-jaan ka andhera na raston ka ghubar jo tu mile to ek aisa safar bhi aata hai lahu lahu jo raha pattharon ki barish mein gali gali wahi chehra nazar bhi aata hai use bhi pyar ke mausam pasand hain 'jazib' safar ki dhup mein jalne shajar bhi aata hai