khayal-e-zehn-shikan se zaban bhar aa jae ye ho to hath mere koi sher-e-tar aa jae hamare mitne se duniya hui hai aisi nihan ki jaise bij se bahar koi shajar aa jae banai main ne jo be-surati ke patthar se main kya karun isi murat pe dil agar aa jae chaman tamam to aahat pe us ki jhum utha yahan ye khabt wo sail-e-hawa nazar aa jae bhanwar musir hai ki aaghosh-e-tang mein dariya tamam wusat-e-nakhwat samet kar aa jae kashish bhi us ki ghazab roab-e-husn bhi aisa ki samna hi na kar paun wo agar aa jae rahoge phir bhi 'muhib' sath-e-bahr hi se do-chaar agar tumhaare liye tah bhi sath par aa jae