khayal rakhna mera zakhm bhar na jae kahin hawadisat ka dariya utar na jae kahin usi se zinda hai ehsas aashiyane ka ye rakh tez hawa hai bikhar na jae kahin bhatakti phirti hai aawara dar-ba-dar kab se shab-e-firaq hamare hi ghar na jae kahin jo chal raha hai bagulon ki rahnumai mein wo karwan-e-mohabbat thahar na jae kahin wo zulm kije ki hasrat na rah sake baqi sahar se pahle hi 'ghamgin' mar na jae kahin