KHayal sa hai ki tu samne khaDa tha abhi

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
khayal sa hai ki tu samne khada tha abhi
ghunudgi mein hun shayad main so gaya tha abhi
phir us ki shakl khayalon mein saf banne lagi
ye masala to wahi hai jo hal hua tha abhi


suna hai phir koi mujh ko bachana chahta hai
kisi tarah to mera faisla hua tha abhi
yahin khada tha wo aankhon mein kitne khwab liye
main us ko us ka naya ghar dikha raha tha abhi


usi ke bare mein socha to kuchh na tha ma'lum
usi ke bare mein itna kaha suna tha abhi
70852 viewsghazalEnglish