khiDki se jhankta hua chehra

By surender-sagarJanuary 5, 2024
khidki se jhankta hua chehra
aaj dekha hai chand sa chehra
tere chehre mein koi jadu hai
jo khila deta hai mera chehra


soch kar un ko pheri thi ungli
ret par un ka ban gaya chehra
tere galon ke ek dimple ne
khub-surat bana diya chehra


mere khwabon mein roz aata hai
chand taron se wo saja chehra
haal dil ka bayan karta hai
dil ka hota hai aaina chehra


dukh zamana ke bhul jata hun
dekhta jab hun aap ka chehra
kaun sa gham sata raha hai tumhein
kyon hai itna bujha bujha chehra


31841 viewsghazalEnglish