khidkiyon se bhi agar dhup na aai hoti hum ne din hote hue sham' jalai hoti apni aankhon ko agar hum bhi bacha le jate sans lete hue manzar se burai hoti log mar’ub bahut hain teri mehrabon se bel hi koi sutunon pe chadhai hoti meri aankhon ke darichon mein sabhi rang us ke dil ki diwar bhi kash us ne sajai hoti hum ko manzur na thi qaid-e-wafadari-e-shah warna pairon mein bhi zanjir-e-tilai hoti sare tehwar guzar jate hain sune sune ye 'imarat bhi kabhi tum ne sajai hoti