KHilaf tha na zamana na waqt aisa tha

By ahmad-azeemFebruary 5, 2024
khilaf tha na zamana na waqt aisa tha
jo sochiye to yahi hai na bakht aisa tha
bahaar-rut mein bhi shakhon ke hath khali the
khile na phul ki mausam hi sakht aisa tha


diye hain zakhm kuchh aise ki bhar saken na kabhi
ye aur baat ki wo gul-ba-dast aisa tha
shua-e-mehr hi aai na chandni utri
main kya kahun ki mere dil ka dasht aisa tha


faza-e-sham ki rangin kar gaya hai qaba
ghurub-e-mehr gulabon ke tasht aisa tha
koi charagh darichon pe rakh ke kya karta
har ek samt hawaon ka gasht aisa tha


wo chandni to na thi chandni ke tukde the
ki mahtab mera lakht lakht aisa tha
kisi safar mein bhi bojhal hue na mere qadam
kahin bhi baith gaya saz-o-rakht aisa tha


palat ke aae na phir karwan-e-ahl-e-wafa
mohabbaton ki masafat ka dasht aisa tha
aman bant raha tha musafiron mein 'azim'
ghaneri chhanw lutata darakht aisa tha


85367 viewsghazalEnglish