khile hue hain phul sitare dariya ke us par achchhe log base hain sare dariya ke us par mahki raaten dost hawaen pichhli shab ka chand rah gae sab khush-khwab nazare dariya ke us par bas ye soch ke sarshaari hai ab bhi apne liye bahte hain khushbu ke dhaare dariya ke us par sham ko zindagi karne wale rang-birange phul phul wo sare rah gae pyare dariya ke us par yun lagta hai jaise ab bhi rasta takte hain gae zamane ret kinare dariya ke us par gunjti hai aur laut aati hai apni hi aawaz aakhir kab tak koi pukare dariya ke us par dahki hui ek aag hai 'sabir' apne sine mein jate nahin par is ke sharare dariya ke us par