khinch kar talwar jab tark-e-sitamgar rah gaya

By anwari-jahan-begum-hijabOctober 25, 2020
khinch kar talwar jab tark-e-sitamgar rah gaya
hae re shauq-e-shahadat main tadap kar rah gaya
milte milte rah gai aankh us ki chashm-e-mast se
hote hote lab-ba-lab saghar se saghar rah gaya


aap hi se be-khabar koi raha wade ki shab
kya khabar kis ki baghal mein kab wo dilbar rah gaya
le liya main ne kinara shauq mein yun dafatan
shokhiyan bhula wo khalwat mein jhijak kar rah gaya


tujh se qatil kah diya tha dil ka ye arman hai
dekh le aakhir mere sine mein khanjar rah gaya
muddaton se sina-e-bismil hai jis qatil ka ghar
kya hua dil mein agar aaj us ka khanjar rah gaya


chal diye hosh-o-khirad to mai-kashon ke chal diye
rah gaya han mai-kade mein daur-e-saghar rah gaya
sakht khajlat hogi dekh ai shauq-e-uryani mujhe
aaj agar ek tar bhi baqi badan par rah gaya


kaun kahta hai makan-e-ghair par tum kyun rah gae
arz to ye hai ki raste mein mera ghar rah gaya
parsai shaikh-sahab ki dhari rah jaegi
dast-e-saqi mein agar dam-bhar bhi saghar rah gaya


jis ke aane ki khushi mein kal se warafta the tum
aaj bhi aate hi aate wo sitamgar rah gaya
25254 viewsghazalEnglish