khirad bhi na-mehrban rahegi shuur bhi sar-garan rahega in aandhiyon mein mera junun-e-wafa magar zau-fishan rahega badal sakegi na fitrat-e-sarkashi ko ye gardish-e-zamana azal se jo aasman bana hai abad talak aasman rahega ulajh ulajh kar mujhe hawadis ki tund lahron se khelne do fasurda sahil ka khushk mahaul mujh ko bar-e-garan rahega abhi se meri nigahen is daur ke tasawwur ko chhu rahi hain bujhi bujhi be-kason ki aahon pe bijliyon ka guman rahega gharib insan ki khudi ko baghawaten gudguda rahi hain na ye jabin ab jabin rahegi na aastan aastan rahega