KHirad ko gumshuda-e-ku-ba-ku samajhte hain

By ravish-siddiqiNovember 14, 2020
khirad ko gumshuda-e-ku-ba-ku samajhte hain
hum ahl-e-ishq tujhe ru-ba-ru samajhte hain
tere khayal ki khushbu tere jamal ka rang
har ek ko takmila-e-rang-o-bu samajhte hain


koi maqam koi marhala nazar mein nahin
kahan hai qafila-e-arzu samajhte hain
butan-e-shahr ko ye e'tiraf ho ki na ho
zaban-e-ishq ki sab guftugu samajhte hain


hazar fitna dar aaghosh hai sukun tera
tujhe hum ai dil-e-ashufta-khu samajhte hain
hazar manzil-e-nau yak faragh-e-gumshudagi
maal-e-hausla-e-justuju samajhte hain


faqih-e-shahr se kya puchhiye 'rawish' ki janab
zaban-e-shisha-o-jam-o-subu samajhte hain
66437 viewsghazalEnglish