khizan ke daur mein khilti bahaar mere liye khuda ne bheja hai ek gham-gusar mere liye wo kah raha hai main us ko 'aziz hun itni karega waqf wo lail-o-nahaar mere liye kathin safar ye agar us ke sath guzre to ye sang-o-khisht bhi hain lala-zar mere liye kada hai waqt to nazren chura ke guzra hai jo kar raha tha zamana nisar mere liye suna hai nazmen bhi likhta hai ab judai par ki ho raha hai bada dil-figar mere liye dar-e-batul ki adna si ek kaniz hun main yahi hawala hai sad-iftikhar mere liye