khizan ki rut mein gulab lahja bana ke rakhna kamal ye hai hawa ki zad pe diya jalana jala ke rakhna kamal ye hai zara si laghzish pe tod dete hain sab talluq zamane wale so aise waison se bhi talluq bana ke rakhna kamal ye hai kisi ko dena ye mashwara ki wo dukh bichhadne ka bhul jae aur aise lamhe mein apne aansu chhupa ke rakhna kamal ye hai khayal apna mizaj apna pasand apni kamal kya hai jo yar chahe wo haal apna bana ke rakhna kamal ye hai kisi ki rah se khuda ki khatir utha ke kante hata ke patthar phir us ke aage nigah apni jhuka ke rakhna kamal ye hai wo jis ko dekhe to dukh ka lashkar bhi ladkhadae shikast khae labon pe apne wo muskurahat saja ke rakhna kamal ye hai