KHizan-rasida chaman mein bahaar rakh dena

By ustad-vajahat-husain-khanJanuary 5, 2024
khizan-rasida chaman mein bahaar rakh dena
koi charagh sar-e-rahguzar rakh dena
main dil-fasurda sahi dil dikha nahin sakta
hamare rishton mein tum e'tibar rakh dena


ye dil-fareb nazare ye dil-nashin chehre
gharib aankhon mein apna dayar rakh dena
mera wajud agar bojh lagne lag jae
to darmiyan mein tum apna pyar rakh dena


jo mang kar na mile haq to chhin le badh kar
utha ke taq pe apne shi'ar rakh dena
hamare 'ahd ke bachche zahin hain phir bhi
tum apne hisse ka kuchh un pe bar rakh dena


jahan ki rit 'wajahat' yahi to dekhi hai
wafa ki rah mein kante hazar rakh dena
98973 viewsghazalEnglish