khizan-rasida hain ab tak meri bahaar ke din tere baghair mayassar nahin qarar ke din jidhar bhi dekhiye shoale dikhai dete hain chaman mein ras na aae hamein bahaar ke din wo baada-khez nigahon ki junbishen tauba mile the mujh ko bhi ye masti-o-khumar ke din khizan bhi aaegi ek din ye baat lazim hai guzar lete mere sath tum bahaar ke din ye aur baat hai qismat palat gai meri mujhe hain yaad abhi tak tumhaare pyar ke din hamein to yaad hi un ki rulati rahti hai tumhaare sath guzare the jo qarar ke din tadapta chhod ke 'iqbaal' ko na jao tum katenge kaise bhala is se intizar ke din